Ya Gaus Ya Meeran Lyrics


Nusrat Fateh Ali Khan Ya Gaus Ya Meeran

Ya Ghaus, ya Meeraan
Abdil Qadir, Shah-e-Jeelani
Tumhi ho Mehboob-e-Subhani, Qutub-e-Rabbani

Allah ne kya martaba-e-Ghaus-e-Jali hai
Gardan ko jhukaaye hue har ek wali hai
Aulad-e-Hasan aur Hussain ibn-e-Ali hai
Beshak Shah-e-Baghdad, Wali ibn-e-Wali hai

Ya Ghaus, ya Meeraan
Abdil Qadir, Shah-e-Jeelani
Tumhi ho Mehboob-e-Subhani, Qutub-e-Rabbani

Sab unki inayat hai, khafi hai ke jali hai
Har rasm-e-karam unke gharane se chali hai
Hai noor jo Baghdad ki galiyon ka ujala
Har ek kiran uski Madine se chali hai

Ya Ghaus, ya Meeraan
Abdil Qadir, Shah-e-Jeelani
Tumhi ho Mehboob-e-Subhani, Qutub-e-Rabbani

Ek silsila-e-noor hai, har saans ka rishta
Imam mera, hubb-e-Nabi, Mehr Ali hai
Main unka mut'ah hashr nasib unka rahunga
Sad shukr ke unse meri nisbat azali hai

Ya Ghaus, ya Meeraan
Abdil Qadir, Shah-e-Jeelani
Tumhi ho Mehboob-e-Subhani, Qutub-e-Rabbani

Ya Ghaus, ya Meeraan


Latest Music News