Home Page »  L »  Lucky Ali
   

Tum Ho Wohi Lyrics


Lucky Ali Tum Ho Wohi


Yeh hai khayaalon mein yaadon mein baaton mein
Gum hain kahin, tum ho wohi
Pyaar se jiske yeh naam hai aaya
Tum ho wohi, gum ho kahin
Har zamaane mein aate rahenge yeh kyon inkaar kare
Pyaar ke saayil raah batate hai kya
Jaise guzarte hai vaise badalte hai
Din ho ya raat miley
Aise bahaane se saara jahan badla tha
Neeley gagan ke taley
Humne bhi taare giney
Achcha jo samjha kiyey
Har ek chaahat ko

Raaston mein chalke, kahi se guzarke
Kahin pe sambhalke, aisa kahin, vaisa kahin
Nek iraadon mein, sachcha yeh vaadon mein
Tum ho kahin, gum ho kahin
Baahon mein bhar laaye saare ishaare hai
Chal ke kahin, chalte yahin

Aaj ka aalam hai maange to hum ko
Yeh saara sansar miley
Jaane kya chahe woh humne tho chaha yahi
Saath guzar jaaye har ek lamha bhi
Aisa dildaar mile
Pyaar ki basti mein aise bhi raste yahan
Neeley gagan ke taley, hum ko sahaara miley
Kahin nazaare khiley, kayi tikane hai

Ek ho zamaane mein, kya bura hai paane mein
Yeh samajh ke jaaye tho, der na ho jaane mein
Chaandni raaton mein shabnami raahon mein
Gum ho kahin, tum ho wohi



Browse: