Home Page »  A »  Abida Parveen
   

Sang Har Shaqs Lyrics


Abida Parveen Sang Har Shaqs


sang har shakhs ne... sang har shakhs ne.

App ghayroon ki baat kartain hain, aap ghayroon ki baat karte hain
aap ghairon ki baat karte hain
Hum nay aapnay bhe azmaain hain
Log kaatoon say bach ker chaltay hin,
Hum nay pholon say zakhm khaien hain

Kisi ka kia jo qadmon per jabeen-e-bandagi rakh di
Humaari cheez thi hum ne jahan jaani wahan rakh di
Jo dil maanga to woh bole key thero yaad kerne do
Zara si cheez thi hum ne khuda jaane kahan rakh di

Sang har shaks nay hathoon main utha rakha hay
Jab say tonay mujhay dewana bana rakha hay

Nighay-e-naaz say ye pochay gey ye kisi din
Tu nay kia kia na banya koi kia kia na bna
Sang har shaks nay hatoon main utha rakha hay
Jab say tonay mujhay dewana bana rakha hay

Us kay dil per bhi karri ishq main guzri hogi
Naam jis nay bhi mohabat ka saza rakha hay
Sang har shaks nay hatoon main utha rakha hay
Jab say tonay mujhay dewana bana rakha hay

Aaa piya moray nainan main, Mian palak dhanp thoy loon
Na mein dekhun aur ko, aur na dekhane dyun

Duniya bari baanwari pathar poojane jaaye
Gher ki chakki koi na pooje jis ka peesa khaye

Patharo aaj mere sar pe barastay kion ho?
Main nay tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai

Ab meray deed ki duniya bhi tamashaayi hay
Tu nay kia mujh ko mohabat main bana rakha hay
Jab say tonay mujhay dewana bana rakha hay

Nadi kinaare dhuaan uthey mein janoon kuch hoye
Jis kaaran mein jogan bani kahin woh hi na jalta hoye

Misaal-e-saada waraq tha magar kitaab mein tha
Woh din bhi they meintere ishq key nisaab mein tha

Tulsi aisi preet na ker jaisi lambi khujoor
Dhoop lage to chaonnahin blage phal duur

Mar bhi jaon to dafna dena maikhane mein
Ta ke maikhane ki mitti rahe maikhane mein

Khudaya peene walon ki kahin basti juda hoti
Jahan hukman peeya kerte na peete to saza hoti

Pee ja aayam ki talkhi ko bhi hans key Nasir
Gham ko sehne meinbhi kudrat ne maza rakha hai

Jab se too ne mujhe Deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai



Browse: