Kaise Haseen Aaz Lyrics


Aadmi Movie Kaise Haseen Aaz

Kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai

Ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath

O dene waale toone to koi kamee na kee

Ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai

Chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi

Aate hai zindagi mein yeh aalam kabhi kabhi

Har ghum ko bhool jaao khushi ki baaraat hai

Ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath

Aayi hai woh bahaar ke naghme ubal pade

Aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade

Hothon pe hai duwaayeh magar dil pe haath hai

Ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai

Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi

Meri khushi bhi aap ke daaman mein aa gayi

Bhavra kali se door nahin saath saath hai

Ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai

Kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai

Ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath


Latest Music News